Jab duur se dekha usse vo ek toota hoa makaan tha, Patha nai Kya tha uss khamoshi meh Jo uski aur jaana chaha Jab uss tooti hoyi darwaze ko dheere se khola, Maano jaise dard ki Hawa uss darwaze se mere chehare ko chu gai. Aur kuch kadam aage baadane par ehsaas hoa, Ek bohoth hei khoobsurat cheez toot Kar beekar k farsh par padi thi Uski khubsurati ko dekh kar, Maine usse uuta Kar jod na chaha Tabhi ek sehmisi aavaz ayi.. Aur kaha, Mai vo bharosa hu Jo thoda gaya hai, Mera Vishwas hai Jo beekar gaya hai, Jo kuch mere apno ne tho kuch dosto ne mukamal kiya hai. Jab usse beekari hoyi cheez ko haato meh liya Samajh aya yeh tho Dil hai uss farishte ka Jo es mehal meh rehthi hai.