Life

Jab duur se dekha usse 
vo ek toota hoa makaan tha,

Patha nai Kya tha uss khamoshi meh
Jo uski aur jaana chaha

Jab uss tooti hoyi darwaze ko dheere se khola,
Maano jaise dard ki Hawa
 uss darwaze se mere chehare ko chu gai.

Aur kuch kadam aage baadane par ehsaas hoa,
Ek bohoth hei khoobsurat cheez toot Kar beekar k farsh par padi thi

Uski khubsurati ko dekh kar,
Maine usse uuta Kar jod na chaha

Tabhi ek sehmisi aavaz ayi..
Aur kaha, Mai vo bharosa hu Jo thoda gaya hai,
Mera Vishwas hai Jo beekar gaya hai,
Jo kuch mere apno ne tho kuch dosto ne mukamal kiya hai.

Jab usse beekari hoyi cheez ko haato meh liya 
Samajh aya yeh tho Dil hai uss farishte ka
Jo es mehal meh rehthi hai.



Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Na jaane

Experience

Aaj Fir